Ek Din Achanak Part 48
Lekin Ravi ko kuch nahin soojh raha tha. Jab kaafi der tak kuch nahin soojha to usne thak haar kar sochna band kiya aur party enjoy karne laga. Thodi der baad sab dheere dheere karke party se jaane lage. Pehle sab ladkiyan gayi.
Ladkiyon ko gaye huye thodi hi der huyi thi ki sabne unko phone ghumane shuru kar diye jaise Pawan ne Riya ko, Manish ne Jassi ki behan ko aur to aura b to Jawed ne bhi Saloni ko phone mila diya (Tum ghar pahunchi ki nahin, koi pareshani to nahin hui, maine tumko bola tha ki main chod deta hoon lekin tum maani nahin, kabhi to meri baat mano, yuh mujhe mat tadpaya karo wagairah wagairah).
Ravi ko ye sab ek drama sa lag raha tha. Ladkiyon ke ghar door hi kitne the. Do gali chodkar sabke ghar the lekin ye log pareshan to aise ho rahe hain jaise wo saat samundar paar jaa rahi hon. Itna pareshan to ye apne exam ke result wale din bhi nahin hote jitney ki aaj ho rahe hain.
Ravi ko reh reh kar Pawan ki baatein yaad aa rahi thi. Kaise wo Riya par lattoo tha. Riya ne khana khaya ya nahin khaya ye use roz poochna tha. Bhale hi khud bhookha rahe lekin pehle usko jaroor poochega. Aur agar kisi din galti se usne tab tak khana nahin khaya hota tha to ye bhi khana chod deta tha aur jid pakad leta tha ki jab tak wo nahin khayegi ye bhi nahin khayegi. Bewkoof kahin ka.
Are Riya ko jab bhookh lagegi tab kha legi usme aisa pareshan hone wali baat kya hai. Saala khud to bhookha rehta hi tha uski wajah se main bhi kai baar bhookh reh gaya.
Bina matlab ghanton park mein baithe baithe pata nahin kya kya baatein karte rehte hain. Khud to ek bhi class attend nahin karte the aur mujhe inke liye notes banane padte the. Kabhi kabhi to chal jaata hai lekin poora saal. Saala is dosti ne to marwa diya. Agar dost nahin hota to phir batata.
Dosti ko pyaar par kurbaan kar diya. Ye pyaar to kuch hi din rehta hai aur baad mein wohi majnu wali haalat. Sirf dost hi hai jo hamesha kaam aata hai chahe dukh ho such. Lekin isko dost ki kadar kahan. Jab se ladki mili hai bas usi ke aage majnu bana firta hai.
Abhi se joru ka gulam ban gaya hai. Wo kahegi to khayega, wo kahegi to uthega, baithega, wo jahan kahegi uske peeche kutte ki tarah dum hilata chala jayega. Aisa bhi kabhi hota hai. Maana ki Riya achhi ladki hai lekin iska ye to matlab nahin ki bas use hi importance do.
Pehle hum dost kitna mast rehte the. Saath saath khelna, khana peena, life maje mein kat rahi thi. Lekin jab se Riya aayi hai bas apni dosti hi hello tak hi reh gayi hai. Sahi kaha hai kisi ne ladki ke chakkar mein padkar kitne ghar barbad ho gaye hain. Ladkiyon se to do foot ki doori hi bana kar rakhni chahiye. Haan ignore mat karo unhen lekin is pyaar vyaar ke chakkar main bhi nahin padna chahiye.
Kitno ko dekha hai ladkiyon ke peeche ladke maar kha rahe hain, ek doosre se lad rahe hain, doston ke beech dushmani ho jaati hai aur yahan tak ki maa-baap se badhkar ladki ho jaati hai jiske liye ladka maa-baap tak ko chodne ke liye tayyar ho jaata hai.
Bakwaas cheez hai ye pyaar, ishq aur mohabbat. Sirf paisa kamane ka jariya bana rakha hai logon ne. Valentine day isiliye bana gaya hai taaki bhole bhaale logon ko loota jaa sake. Koi phool kharid raha hai, koi chocolate to koi aur gift lekin kisi ke bhi ye dhyaan mein nahin aata ki jo phool kal tak 10 Rs. main milta tha aaj wohi phool 100 Rs. main mil raha hai.
Bas kharidna hai to kharidna hai ladki ko impress jo karna hai. Jaise phool nahin kharidega to wo use chod kar chali jayegi. Ab kaun samjhaye inhen. Kabhi 10 rupaye dost par kharach nahin karenge lekin ladki ke upar hajar rupaye bhi kharch ho jaaye to koi baat nahin. Main to kabhi na padun is pyaar vyaar ke chakkar mein.
Aise hi na jaane kitne khyaal Ravi ke man mein aate jaa rahe the.
Tabhi uska dhyaan Pawan ne apni awaaz se thoda. “Chal bhai ghar nahin jaana. Raat kaafi ho gayi hai.”
Sab doston ne ek doosre se wida li aur apne apne ghar chale gaye. Raaste bhar bhi Ravi inhi baaton ko soch raha tha lekin jab ghar pahuncha to sharirik aur maansik dono roop se itna thak gaya tha ki bistar par girte hi neend aa gayi use. Khana pehle hi kha liya tha sabne isliye ab to seedha bistar hi pakadna tha. Kab neend aayi aur kab agli subah huyi kuch pata hi nahin chala.
Ab Ravi raat ko der se soya tha to jaahir si baat hai subah der se bhi uthega. College 9 baje se shuru hota hai aur use uthne mein 10 baj gaye the. Ravi ne aankh malte huye ghadi ki taraf dekha to chonk utha. Wo turant naha dhokar tayyar huya aur nashta college mein hi karne ka bolke seedha Pawan ke ghar chala gaya jahan jaakar use pata laga ki wo to aaj jaldi college chala gaya hai.
Ravi ka to ye sunkar paara hi chad gaya. Wo samajh gaya ki ho na ho ye jaroor Riya se milne hi jaldi gaya hoga. Use to college mein dekh loonga aur apni bike teji se bhagate huye jaldi se college pahunch gaya. Lekin ab wo kisi ko bhi lift nahin deta tha apni bike par khaskar kisi burkhe wali ko.
To be continued....
Saba
13-Jan-2022 08:54 PM
💖
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:23 PM
💖💖
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:03 PM
💙🤞
Reply